• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Muqabil Be-Murawwat Aaina Hone Nahin Deta

Muqabil Be-Murawwat Aaina Hone Nahin Deta

muqabil be-muravvat aa.ina hone nahin deta

koi ab ḳhud se apna samna hone nahin deta

bahut jhuk jhuk ke chalta huun main in baunon ki basti men

ye chhoTa-pan kabhi mujh ko baḌa hone nahin deta

kashakash ye ajab ik ishq ki jaari hai sadiyon se

fida hota huun main aur vo fana hone nahin deta

vahi jaane kahan pahuncha.ega apne asiron ko

pata deta nahin aur lapata hone nahin deta

yahi kah kar mohabbat kijiye to be-gharaz kiije

vo ḳhud ko meri chahat ka sila hone nahin deta

bahut parhez hai us ko mira bimar ho kar bhi

kisi surat mujhe apni dava hone nahin deta

vo rakhta hai mujhe is tarah apni chust bandish men

kabhi mujh ko shikast-e-na-rava hone nahin deta

main kab tak bakriyon ke vaste patte gira.unga

miri laThi ko vo ab azhdaha hone nahin deta

ḳhushi aur na-ḳhushi par ab nahin kuchh iḳhtiyar apna

ḳhafa karta hai mujh ko aur ḳhafa hone nahin deta

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Haalat Na Badlen to Isi Baat Pe Rona

shad-azimabadi

Siyahkar Siyah-Ru Khata-Shiar Aaya

Tere Aks Se Meri Zat Mein Hai Latif Hijr-O-Visal Sa

Gada-E-Shahr-E-Ainda Tahi-Kasa Milega

Shad Uftad-E-Har-Nafas Mat Puchh

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet