munh pe khata hai ye is tarah se talvar ki bas
dil mira ishq men aisa hai jigar-dar ki bas
nazaa men dekh mujhe yaar jhijak kar bola
kya buri tarah se marta hai ye bimar ki bas
aap ko bech ke yusuf ne zulekha ko liya
kya kharidar ne paaya hai kharidar ki bas
is jhadi seti kahin gir na pade bam-e-falak
is tarah rote hain tujh bin dar-o-divar ki bas
ishq ke dar-e-shifa men mujhe le chal tu ‘yaqin’
ki tabibon ne diya is qadar azar ki bas
Leave a Reply