munh andhere ghar se nikle phir the hangame bahut
din dhala tanha hue aur raat bhar pighle bahut
ranj ke andhe kuen men raat ab kaise kate
dekhne ko din men dekhe chand se chehre bahut
phir bhi ham ik dusre se bad-guman kya kya rahe
jhuut ham ne bhi na bola tum bhi the sachche bahut
tha irada un ke ghar se bach ke ham niklen magar
har qadam par un ke ghar ke raste aae bahut
in dinon rahte hain logon se hamen kya kya gile
aur lagte bhi hain ham ko log sab achchhe bahut
ped apne dasht men ab ham laga kar kya karen
dhuup ne phaila diye hain duur tak saae bahut