ye jo hasil hamen har shai ki faravani hai
ye bhi to apni jagah ek pareshani hai
zindagi ka hi nahin Thor-Thikana ma.alum
maut to tai hai ki kis vaqt kahan aani hai
koi karta hi nahin zikr vafadari ka
in dinon ishq men asani hi asani hai
kab ye socha tha kabhi dost ki yuun bhi hoga
teri surat tiri avaz se pahchani hai
chain lene hi nahin deti kisi pal mujh ko
roz-e-avval se mire saath jo hairani hai
ye bhi mumkin hai ki abadi ho is se aage
ye jo ta-hadd-e-nazar phailti virani hai
kyuun sitare hain kahin aur kahin aansu hain
aankh valon ne yahi ramz nahin jaani hai
taḳht se taḳhta bahut duur nahin hota hai
bas yahi baat hamen aap ko batlani hai
dost ki bazm hi vo bazm hai ‘amjad’ ki jahan
aql ko saath men rakhna baḌi nadani hai
Leave a Reply