ham aap qayamat se guzar kyuun nahin jaate
jiine ki shikayat hai to mar kyuun nahin jaate
katrate hain bal khate hain ghabrate hain kyuun log
sardi hai to paani men utar kyuun nahin jaate
ankhon men namak hai to nazar kyuun nahin aata
palkon pe guhar hain to bikhar kyuun nahin jaate
aḳhbar men rozana vahi shor hai yaani
apne se ye halat sanvar kyuun nahin jaate
ye baat abhi mujh ko bhi malum nahin hai
patthar idhar aate hain udhar kyuun nahin jaate
teri hi tarah ab ye tire hijr ke din bhi
jaate nazar aate hain magar kyuun nahin jaate
ab yaad kabhi aa.e to a.ine se puchho
‘mahbub-ḳhizan’ shaam ko ghar kyuun nahin jaate
Leave a Reply