mumkin na thī jo baat vahī baat ho ga.ī
dariyā mujhe milā to mirī pyaas kho ga.ī
jab tak tumhārā zikr rahā jāgtī rahī
phir vo hasīn raat bhī mahfil meñ so ga.ī
saayā tumhārī yaad kā ab mere saath hai
duniyā to ik nadī thī samundar meñ kho ga.ī
terā ḳhayāl aayā to mahsūs ye huā
ḳhushbū tire badan kī mire saath ho ga.ī
shāyad ye raat aap se milne kī raat hai
ḳhush-rañg chāñdnī dar-o-dīvār dho ga.ī
tere hasīñ ḳhayāl kī ḳhushbū fazā meñ thī
bārish gulāb-jal kī hameñ bhī bhigo ga.ī
‘asrār’ un ke ġham ne bhī raushan kiye charāġh
palkoñ meñ ik ḳhushī bhī sitāre piro ga.ī