ham faqiron ka sune gar zikr-e-arra fakhta
apni ku-ku par kare hargiz na gharra fakhta
jal ke khakistar abhi ho jaae tu ik aan men
gar tire dil men ho soz-e-ishq zarra fakhta
chashm-e-tar se apni tu sairab rakh shamshad ko
yaan darakht-e-khushk par chalta hai arra fakhta
jama-e-khakistari se tere ye sabit hua
apni darveshi ka hai tujh bhi gharra fakhta
jis par us mah-e-tamami-posh ka saaya pade
baagh men vo sarv ho rashk-e-maharra fakhta
ishq-e-mizhgan ne bhi to khincha hai dar-e-sarv par
yad-e-abru men agar hai zer-e-arra fakhta
murgh-e-bustani ka us ke samne dam band hai
naghma-sanji men na kar ‘ghafil’ se gharra fakhta
Leave a Reply