mumkin hai ki milte koi dam donon kinare
ik mauj ke muhtaj the ham donon kinare
yuun aankh jhapakta nahin bahta hua paani
manzar men na ho jaa.en baham donon kinare
abad hamesha hi rahega ye samundar
rakhte hain machheron ka bharam donon kinare
ta-umr kisi maja-e-ḳhush-rau ki havas men
bedar rahe dam hama-dam donon kinare
khulti hai yahan aa ke mire ḳhvab ki vus.at
hote hain miri aankh men zam donon kinare
ye fasla miTTi se kabhi tai nahin hoga
dariya ki hain vus.at pe qasam donon kinare
sab sair ko niklenge sar-e-sahil-e-har-ḳhvab
sayyahon ke chumenge qadam donon kinare
kashti ki tarah umr ḳhizar-gir hai ‘azar’
hasti ke hain maujud-o-adam donon kinare
Leave a Reply