dayar-e-jism se sahra-e-jan tak
uḌuun main ḳhaak sa aḳhir kahan tak
kuchh aisa ham ko karna chahiye ab
utar aa.e zamin par asman tak
bahut kam fasla ab rah gaya hai
bipharti andhiyon se badban tak
mayassar aag hai gul ki na bijli
andhere men paḌe hain ashiyan tak
ye jangal hai nihayat hi pur-asrar
qadam rakhti nahin is men ḳhizan tak
vahin tak kyuun rasa.i hai hamari
nuqush-e-pa zamin par hain jahan tak
nikal aao hisar-e-ḳhamushi se
jo dil men hai vo laao bhi zaban tak
yahan shaitan pa hai ik larza taari
nahin uThta charaghon se dhuan tak
Leave a Reply