mujh se mat puchh mira hal-e-darun rahne de
sun ke Tapkega tiri ankhon se ḳhuun rahne de
fasl-e-gul dasht-e-ḳhirad men hai agarche maujud
mujh ko pa-basta-e-zanjir-e-junun rahne de
tu karam mujh pe karega to jataega zarur
haal jo mera zubun hai to zubun rahne de
sadgi si koi zinat nahin hoti janan
apni in shoḳh adaon ka fusun rahne de
chheḌ kar phir vahi maazi ke purane qisse
mujh se mat chhin mire dil ka sukun rahne de
ai zamana main tire saath badalne se raha
ab main achchha ki bura jaisa bhi huun rahne de