• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mujhse Kyun Kahte Ho Mazmun Ghair Ki Tahrir Ka

Mujhse Kyun Kahte Ho Mazmun Ghair Ki Tahrir Ka

poet

mujh se kyuun kahte ho mazmun ghair ki tahrir ka

janta huun muddaa main aap ki taqrir ka

saath gar sone na doge tum ko bhi niind aa chuki

main to aadi ho gaya huun nala-e-shab-gir ka

apne matlab ki samajh kar ho gae the ham to khush

kyuun mukarte ho yahi matlab hai us taqrir ka

ahd kis kaa, aap jo kahte use sach janta

kya karun qaail huun main to ghair ki tadbir ka

kuchh asar un par hua to kya hi dete hain fareb

kahte hain qaail nahin main ah-e-be-tasir ka

ye to farmao ki kya us ko karunga main muaaf

mere aage zikr kyuun hai ghair ki taqsir ka

ek din sun kar chale aae the vo be-sakhta

asman par hai dimagh ab ah-e-be-tasir ka

panja-e-ulfat se pakda hai use dil ne mire

sahl hai qatil koi pahlu se khinchna tiir ka

koshish-e-beja thi ye kuchh e’timad-e-aql par

ab ye darja hai ki qaail hi nahin tadbir ka

jitne sar hain utne saude kya khata naseh miri

main hi ik qaidi nahin us zulf-e-alam-gir ka

kya kaha tha main ne tum kya samjhe is ka kya ilaaj

tum hi munsif ho ye matlab tha miri taqrir ka

ye mira likkha ki jo tadbir ki ulti padi

aur is par bhi mujhe shikva nahin taqdir ka

jazb-e-ulfat is ko kahte hain kahin pad jaae haath

zakhm dil par hi pahunchta hai tiri shamshir ka

mujh ko us ke paas jaana us men jo kuchh ho ‘nizam’

ek matlab janta huun zillat o tauqir ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

rahat-indori

Chamakte Lafz Sitaron Se Chhin Lae Hain

Mohabbat Be-Niyaz-E-Ma-Siwa Hai

Sufi

Kuchh Hai Khabar Farishton Ke Jalte Hain Par Kahan

Tirgi Nam Hai Dil Walon Ke uTh Jaane Ka

Kisi Dard-Mand Ki Hun Sada Kisi Dil-Jale Ki Pukar Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet