yaqin TuuT chuka hai guman baaqi hai
hamare sar pe abhi asman baaqi hai
chale to aa.e hain ham ḳhvab se haqiqat tak
safar tavil tha ab tak takan baaqi hai
unhen ye zo.am ki fariyad ka chalan na raha
hamen yaqin ki munh men zaban baaqi hai
har ek samt se pathrav hai magar ab tak
lahuluhan parinde men jaan baaqi hai
fasana shahr ki ta.amir ka sunane ko
gali ke moḌ pe TuuTa makan baaqi hai
mila na jo hamen qatil ki astin pe ‘hasan’
usi lahu ka zamin pe nishan baaqi hai
Leave a Reply