kuchh nahin aftab rauzan hai
saath vaala makan raushan hai
ye sitare chahakte hain kitne
asman kya kisi ka angan hai
chandni hai safir suraj ki
chand to zulmaton ka madfan hai
aag hai kohsar ke niche
barf to pairahan hai achkan hai
da.imi zindagi ki hai zamin
ye fana jo baqa ki dushman hai
yaad tar-e-nafas pe chiḌiya hai
vahshaton ka shumar dhaḌkan hai
bhigta huun tumhari yadon men
ḳhat tumhara mujhe to savan hai
dekhta huun bichhaḌne valon ko
ḳhvab goya ki durdarshan hai
naḳhl-e-gul ho kisi ka mujh ko kya
mujh ko to ḳhar-o-ḳhas hi gulshan hai
tak raha huun jahan ko hairat se
mujh men jaaga ye kaisa bachpan hai
aap mujh ko hi DhunDte honge
sab se patli miri hi gardan hai
hans diye meri baat sun kar vo
muskura kar kaha ki bachpan hai
‘ahmad’ apni misal aap huun main
haan mira sher mera darpan hai
Leave a Reply