mujh se chhup kar mire armanon ko barbad na kar
dad-khvahi ke liye aaya huun bedad na kar
dekh mit jaega hasti se guzar jaega
dil-e-na-aqebat-andesh unhen yaad na kar
aa gaya ab to mujhe lutf-e-asiri sayyad
zab.h kar daal magar qaid se azad na kar
jis pe marta huun use dekh to luun ji bhar ke
itni jaldi tu mire qatl men jallad na kar
aap to zulm lagatar kae jaate hain
mujh se takid pe takid hai fariyad na kar
jalva dikhla ke mira luut liya sabr-o-qarar
phir ye kahte hain ki tu nala-o-fariyad na kar
aap hi apni jafaon pe pasheman hain vo
un ko mahjub ziyada dil-e-nashad na kar
ai saba kucha-e-janan men pada rahne de
khaak ham khak-nashinon ki to barbad na kar
ham to jab samjhen ki haan dil pe hai qaabu ‘bedam’
vo tujhe bhuul gae tu bhi unhen yaad na kar
Leave a Reply