mujh se banta hua tu tujh ko banata hua main
giit hota hua tu giit sunata hua main
ek kuuze ke tasavvur se juḌe ham donon
naqsh deta hua tu chaak ghumata hua main
tum banao kisi tasvir men koi rasta
main banata huun kahin duur se aata hua main
ek tasvir ki takmil ke ham do pahlu
rang bharta hua tu rang banata hua main
mujh ko le jaa.e kahin duur bahati hui tu
tujh ko le ja.un kahin duur uḌata hua main
ik ibarat hai jo tahrir nahin ho paa.i
mujh ko likhta hua tu tujh ko miTata hua main
mere siine men kahin ḳhud ko chhupata hua tu
tere siine se tira dard churata hua main
kanch ka ho ke mire aage bikharta hua tu
kirchiyon ko tiri palkon se uThata hua main
Leave a Reply