mujh se ab saaf bhi ho ja yunhi yaar aap se aap
jis tarah hai tiri khatir men ghubar aap se aap
kab kaha atish-e-furqat se jalaya tu ne
hain mire nala-e-dil saiqa-bar aap se aap
khaar tadbir hai pesh-e-gul-e-taqdir abas
vaqt par baagh men aati hai bahar aap se aap
donon aalam men agar ek nahin shoabada-baz
jama kyuun kar hue azdad ye chaar aap se aap
nahin aata jo vo khurshed mire ghar men na aae
subh ho jaegi akhir shab-e-tar aap se aap
kuchh shikayat nahin ishq-e-kamar-e-nazuk ki
ho gaya huun main sanam zar-o-nazar aap se aap
o vajud-e-chaman-ara-e-azal ke munkir
khud-bakhud gul hue maujud na khaar aap se aap
surkh poshak pahan kar vo sahi qad jo gaya
jal uthe sarv-e-chaman misl-e-chinar aap se aap
zulf ko chhu ke pada hai jo bala men ai dil
kaat khata hai kisi ko koi maar aap se aap
kuchh tiri tegh-e-jafa ki nahin taqsir ai gul
surat-e-ghuncha mira dil hai figar aap se aap
ghair ka munh hai ki le bose tire o zalim
nilgun ho gae honge ye ezaar aap se aap
nala-kash misl-e-jaras kyuun hai abas ai majnun
sabr kar aaegi jammaza-savar aap se aap
Leave a Reply