alam-e-rozgar ki maari hai zindagi
phir bhi hamen aziiz hai pyari hai zindagi
asudagan-e-ishrat-e-hasti ko kya ḳhabar
ham jante hain jaisi hamari hai zindagi
itna bata chuke hain ki kundan bana diya
sho.alon men gham ke ham ne nikhari hai zindagi
gul shaḳh par kabhi kaf-e-gul-chin men hai kabhi
yaksan jahan men kis ne guzari hai zindagi
har lamha zindagi ka amanat kisi ki hai
ham zindagi ke hain na hamari hai zindagi
maqdur ho to us ko badal len ajal se ham
aisi firaq-e-dost men bhari hai zindagi
‘maikash’ hamen kahan haram-o-dair ki ḳhabar
ham ne to mai-kade men guzari hai zindagi
Leave a Reply