duā hai aur na koī bad-duā hai
ye duniyā to mahz ik hādisa hai
tumhāre sāmne jo aa.ina hai
yaqīñ jaano vahī to āshnā hai
jo kahnā thā vo ham ne kah diyā hai
batā.eñ aap kā kyā faisla hai
ajab duniyā hai insānoñ kī duniyā
jahāñ insāniyat hī gum-shuda hai
tasavvur bārhā pahuñchā vahīñ par
zamīr aksar jahāñ par roktā hai
yahī sachchā.ī hai har ek sach kī
yahī lagtā hai bas ik zāviya hai
ye duniyā jān-e-jāñ terī na merī
makīñ sab haiñ magar mālik ḳhudā hai