• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dida-E-Ashk-Bar Hai Apna

Dida-E-Ashk-Bar Hai Apna

dida-e-ashk-bar hai apna

aur dil be-qarar hai apna

rashk-e-sahra hai ghar ki virani

yahi rang-e-bahar hai apna

chashm-e-giryan se chak-e-daman se

haal sab ashkar hai apna

ha.e-hu men har ek khoya hai

kaun yaan gham-gusar hai apna

sirf vo ek sab ke hain muḳhtar

un pe kya iḳhtiyar hai apna

bazm se un ki jab se nikla hai

dil gharib-ud-dayar hai apna

un ko apna bana ke chhoḌenge

baḳht agar sazgar hai apna

paas to kya hai apne phir bhi magar

us pe sab kuchh nisar hai apna

ham ko hasti raqib ki manzur

phuul ke saath ḳhaar hai apna

hai yahi rasm-e-mai-kada shayad

nashsha un ka ḳhumar hai apna

jiit ke ḳhvab dekhte jaao

ye dil-e-bad-qimar hai apna

kya ghalat sochte hain ‘mira-ji’

sher kahna shi.ar hai apna

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Teri Taswir Se Rahmat Barasti Hai Guru-Nanak

Har Samt Pukara Hai Aawaz Nahin I

Kya Chaara Karen Kya Sabr Karen Jab Chain Hamein Din-Raat Nahin

Ye Tamanna Thi Ki Hum Itne suKHnawar Hote

akbar-hyderabadi

Bas Ek Tasalsul-e-Takrar-e-Qurb-O-duri Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet