rabta mujh se mira joḌ diya karta tha
vo jo ik shaḳhs mujhe chhoḌ diya karta tha
mujhe dariya, kabhi sahra ke havale kar ke
vo kahani ko naya moḌ diya karta tha
is se aage to mohabbat se gila hai mujh ko
tu to bas haat mira chhoḌ diya karta tha
baat peḌon ki nahin, gham hai parindon ka ‘nadim’
ghonsle jin ke koi toḌ diya karta tha
Leave a Reply