aap kahte hain nahin milte dil afsane men
phir se ham aa hi ga.e aap ke bahlane men
vo baras biit gaya jis men tumhen paaya tha
umr guzregi ise barha dohrane men
phuul par ek mahakti hui titli dekhi
kya tumhen chhu liya us ne kahin anjane men
shart-e-maujudgi darkar nahin ulfat ko
vaqt zaa.e.a na kar aane men aur jaane men
har nafas tum hi ho har samt tumhare jalve
lutf itna na tha ai yaar tujhe paane men
chand ko jhiil ke paani men utara lekin
aag paani men laga baiThe hain anjane men
ishq par zor nahin phir bhi lage rahte hain
ham kabhi ḳhud ko kabhi aap ko samjhane men
Leave a Reply