men mahfil-e-hayat men hairan sa raha
har ek ki nigah men anjan sa raha
kuchh kar saka na shaam talak rah-e-shauq men
har pal har ek gaam pe be-jan sa raha
palken uTha ke dekh saka main na ek baar
mera ḳhirad junun ka nigahban sa raha
rah-e-hayat men na mili ek pal ḳhushi
gham ka ye bojh dosh pe saman sa raha
bu-e-gul-o-saman ki tarah is jahan men
‘ahan’ tamam umr pareshan sa raha
Leave a Reply