tamam jism hi ghayal tha ghaav aisa tha
koi na jaan saka rakh-rakhao kaisa tha
bas ik kahani hui ye paḌav aisa tha
miri chita ka bhi manzar alaav aisa tha
vo ham ko dekhta rahta tha ham taraste the
hamari chhat se vahan tak dikhav aisa tha
kuchh aisi sansen bhi lena paḌin jo bojhal thiin
hava ka charon taraf se dabav aisa tha
ḳharidte to ḳharidar ḳhud bhi bik jaate
tape hue khare sone ka bhaav aisa tha
hain da.ere men qadam ye na ho saka mahsus
rah-e-hayat men yaaro ghumao aisa tha
koi Thahar na saka maut ke samundar tak
hayat aisi nadi thi bahav aisa tha
bas us ki maang men sindur bhar ke lauT aa.e
hamare agle janam ka chunav aisa tha
phir is ke ba.ad jhuke to jhuke ḳhuda ki taraf
tumhari samt hamara jhukav aisa tha
vo jis ka ḳhuun tha vo bhi shanaḳht kar na saka
hatheliyon pe lahu ka rachav aisa tha
zaban se kuchh na kahunga ghazal ye hazir hai
dimagh men ka.i din se tanav aisa tha
fareb de hi gaya ‘nur’ us nazar ka ḳhulus
fareb kha hi gaya main subhav aisa tha
Leave a Reply