lafzon ke khel bahut ajiib hote hain
kabhi asaman par le jaate hain
aur kabhi zamin par de marte hain
ye kapdon ke rangon se ziyada
kabhi bahut gahre
kabhi bahut halke
suron men
dhime dhime
khuun sairab karte hain
aur kabhi ek ek qatra nichod lete hain
ye aram-deh bistar par ham se ham-bistari karte hain
aur kabhi hamari anval naal se chipak jaate hain
aur jab tak ham zinda rahte hain
ye hamen loriyan dete hain
aur kabhi hamen achanak mar jaane par
majbur karte hain
aur ye lafz hi elaan karte hain
ki kis jagah kis tarikh ko
ham kahan murda halat men paae gae
Leave a Reply