jise paala tha ik muddat tak aghosh-e-tamanna men
vahi baani hua mere gham o dard o aziyyat ka
usi ke haath se kya kya saha sahna hai kya kya kuchh
ilahi do jahan men munh ho kaala is muravvat ka
karen insaf ka daava asar kuchh bhi na zahir ho
maza chakkha hai aise doston se bhi mohabbat ka
mitaen taaki apne zulm karne ki nadamat ko
nikalen dhund kar har tarah se pahlu shikayat ka
hasad ji men bhara hai laag hai ik umr se dil men
karen zahir agar mauqa hai izhar-e-adavat ka
tamaa men kuchh na samjhen baap aur bhaai ki hurmat ko
amal dekho to ye phir kuchh karen daava sharafat ka
miri umr-e-do-roza bekasi ke saath katti hai
na apnon se na ghairon se mila samra riyazat ka
jise dekha jise paaya gharaz ka apni banda tha
jahan main ab maza baaqi nahin khalis mohabbat ka
hamara kalba-e-ahzan hai ham hain ya kitaben hain
raha baaqi na koi ham-nashin ab apni qismat ka
khuda abad rakkhe ‘shad’ mere un azizon ko
maza chakkhva diya al-qarz-o-miqraz-ul-mohabbat ka
Leave a Reply