mujh ko tire ḳhayal se vahshat kabhi na thi
is darja be-adab ye tabi.at kabhi na thi
had hai usi ke paas hai kirdar ki sanad
jis ki tamam shahr men izzat kabhi na thi
yaaro dua karo ye koi hadsa na ho
pahle yuun intizar men lazzat kabhi na thi
ya to jafa.en aap ki had se guzar ga.iin
ya phir hamen sazaon ki aadat kabhi na thi
‘jazib’ gham-e-hayat ki talḳhi zaban pe hai
varna hamen jahan se shikayat kabhi na thi
Leave a Reply