hausla imtihan se nikla
jaan ka kaam jaan se nikla
dard-e-dil un ke kaan tak pahuncha
baat ban kar zaban se nikla
bevafa.i men vo zamin vaala
haath bhar asman se nikla
harf-e-matlab faqat kaha na gaya
varna sab kuchh zaban se nikla
kuchh ki kuchh kaun sunne vaala tha
kuchh ka kuchh kyuun zaban se nikla
ik sitam miT gaya to aur hua
asman asman se nikla
jis se bachta tha main dam-e-iz.har
vahi pahlu bayan se nikla
vo bhi arman kya jo ai ‘muztar’
dil men rah kar zaban se nikla
Leave a Reply