koi achchhi ḳhabar aati nahin hai
shab-e-gham ki sahar aati nahin hai
vo mast-e-rahat-e-ḳhvab-e-sahar hain
jinhen yad-e-safar aati nahin hai
kahin par to yaqinan hai ḳharabi
ba-zahir jo nazar aati nahin hai
main sab ki ḳhair mangun is yaqin se
dua to lauT kar aati nahin hai
‘yashab’ ko dil se hijrat raas hai ab
kisi surat vo ghar aati nahin hai
Leave a Reply