ba-har-alam barabar likh raha huun
main pyasa huun samundar likh raha huun
sadaf andar sadaf the jo ma.ani
unhen gauhar-ba-gauhar likh raha huun
nahin ye sha.iri hargiz nahin hai
main ḳhud apna muqaddar likh raha huun
har ik tifl-e-qalam ye sochta hai
main kal duniya se behtar likh raha huun
nazar aati nahin jo dil ki duniya
use manzar-ba-manzar likh raha huun
mai-lab se mujhe ḳhush karne vaalo
tumhare naam kausar likh raha huun
jo masti hai mira maqsum ‘sahba’
use saghar-ba-saghar likh raha huun
Leave a Reply