sharab pi ke bhi mast-e-sharab ho na saka
tira kharab-e-mohabbat kharab ho na saka
isi pe khatm hain nakamiyan zamane ki
tiri janab men jo kamyab ho na saka
tiri ata ke tasadduq tire karam ke nisar
gunahgar tha lekin azaab ho na saka
vufur-e-husn ki vo shokhiyan maaz-allah
shabab tabe-e-ahd-e-shabab ho na saka
kharab-e-ishq tira ho ke saari duniya men
kisi ka bhi dil-e-khana-kharab ho na saka
uthi na arz-e-tamanna pe khashmagin ho kar
tiri nigah ka mujh par itaab ho na saka
hazar rang the lekin tha ek hi jalva
kamal husn ka tere javab ho na saka
dalil-e-pasti auj-e-falak hai ye ‘afqar’
ki khak-bos-s-dar-e-bu-turab ho na saka
Leave a Reply