Dil Ki Tarah Hi Ab Meri Duniya KHarab Hai

dil kī tarah hī ab mirī duniyā ḳharāb hai

so apnā haal in dinoñ achchhā ḳharāb hai

aañsū bahe to yuuñ huā bīnā.ī baḌh ga.ī

phir saaf saaf dikh gayā kyā kyā ḳharāb hai

pahle-pahal to maiñ tirā yak-tarfa ishq thā

ab merā haal tujh se ziyāda ḳharāb hai

duniyā se tañg shaḳhs ko achchhī hai ḳhud-kushī

ġharqāb hote shaḳhs ko tinkā ḳharāb hai

to ishq se miTā.eñge duniyā kī nafrateñ

‘mishrā’ jī aap Thiik haiñ māthā ḳharāb hai

Leave a Comment