kyuun chup hain vo be-bat samajh men nahin aata
ye rang-e-mulaqat samajh men nahin aata
kya dad-e-suḳhan ham tumhen den hazrat-e-naseh
hai sau ki ye ik baat samajh men nahin aata
shaiḳh aur bhalai se kare tazkira tera
ai pir-e-ḳharabat samajh men nahin aata
saaya bhi shab-e-hijr ki zulmat men chhupa hai
ab kis se karen baat samajh men nahin aata
mushtaq-e-sitam aap hain mushtaq-e-ajal ham
phir kyuun ye ruka haat samajh men nahin aata
roka unhen jaane se sar-e-sham to bole
kyuun karte ho tum raat samajh men nahin aata
dil ek hai aur is ke talabgar hazaron
den kis ko ye saughat samajh men nahin aata
kyun-kar kahun ‘ahsan’ ki adu dost hai mera
ho nek vo bad-zat samajh men nahin aata
Leave a Reply