mujhe pata hai bas itna ki pyaar karna hai
aur ek baar nahin baar baar karna hai
tum apna kaam ab achchhe se kyuun nahin kartin
tumhara kaam mujhe be-qarar karna hai
tujhe gale se laga ke bhi dekha ja.ega
abhi to mujh ko tira intizar karna hai
main is jahan ke liye ḳhud ko chhoḌ baiTha huun
isi jahan ne mujhe darkinar karna hai
Leave a Reply