titliyon ki hasin sangat se
phuul khilne lage hain nik.hat se
aisa guzra hai ik zamana bhi
main bhi chaha gaya tha shiddat se
TuuT jaane ke bavajud ye dil
baaz aaya nahin mohabbat se
sher hota hai daad milti hai
‘jaun’ ‘mohsin’ ‘faraz’ ‘sarvat’ se
ye mujhe aaj kal hua kya hai
vird karta huun tera kasrat se
hosh shafi ganva na baiThen ham
yuun na dekho hamen shararat se
Leave a Reply