Mujhe Mujhse Milati Ja Rahi Hai

mujhe mujh se milātī jā rahī hai

faqīrī raas aatī jā rahī hai

ye miTTī mere ḳhāl-o-ḳhad churā kar

tirā chehra banātī jā rahī hai

ye kis kī yaad hai jo mere dil meñ

musalle se bichhātī jā rahī hai

ajab shai hai suḳhan kī sar-bulandī

mire sar ko jhukātī jā rahī hai

jo mastī raqs meñ rakhtī thī mujh ko

vo sajdoñ meñ rulātī jā rahī hai

lahū bahne lagā hai eḌiyoñ tak

ibādat rañg laatī jā rahī hai

Leave a Comment