kahin shab-ḳhun ka andesha nahin hai
ye aghaz-e-safar achchha nahin hai
tilism-e-ḳhamushi TuuTa nahin hai
magar maqtal sa sannaTa nahin hai
ḳhizan ke lauT jaane ka hai ḳhadsha
chaman dil ka abhi ujḌa nahin hai
jo gard-e-rah men manzil na dekhe
koi sahab-nazar aisa nahin hai
har ik shaḳh-e-shajar se dukh na barse
abhi vo marhala aaya nahin hai
samundar tirgi ka darmiyan hai
sahar ka qafila bhaTka nahin hai
sitara chhup gaya hai badalon men
musafir rasta bhula nahin hai
Leave a Reply