baaqi hai ummid zara si
ai parda-var diid zara si
jin men zehanat thi vo karte
kyon andhi taqlid zara si
main bimar-dil bach jaata
kar dete takid zara si
aur bhi taza-dam karti hai
fan ko mire tanqid zara si
duniya bhar ke kufr pe tanha
haavi hai tauhid zara si
dil ki sununga lekin pahle
aql kare ta.id zara si
‘faiz’ jo tison roza rakkhe
kyon vo mana.en iid zara si
Leave a Reply