• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Yunhi dukh Ho Jawenge Kam Shahzade

Yunhi dukh Ho Jawenge Kam Shahzade

fauziya-rabab

yunhi dukh ho javenge kam shahzade

aa ja sukh ke khvab bunen ham shahzade

apne hosh ganva baithi huun phir se aaj

soch rahi huun tujh ko har dam shahzade

shahzadi ke khvab azaab na kar jaana

ho javengi ankhen pur-nam shahzade

meri ruuh men teri yaad utarti hai

haule haule maddham maddham shahzade

aisa sakht takallum akhir kyon bolo

kyon rahte ho barham barham shahzade

kab tak tanha tanha tuten bikhrenge

ruuh men ruuh ko hone de zam shahzade

shahzade kuchh aur na mange shahzadi

nikle teri banhon men dam shahzade

rafta rafta ho gae akhir tere naam

mera jivan mere mausam shahzade

tujh se hi manus hua so tu jaane

jag kya jaane dil ka aalam shahzade

aansu tujh ko dhunden hain divana-var

shahzadi ki ankhen hain nam shahzade

kab tak tanha chunti jaae zakhm ‘rabab’

rakh mithe lafzon ke marham shahzade

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHud Ko Sharminda-E-Be-Dad Kiya Hai Kis Ne

ajay-sahaab

Tanhaiyon Mein Ashk Bahane Se Kya Mila

Sulagti Nind Ke Girdab Se Nikal Aaya

baDe Ajib Manazir Nazar Se Guzre Hain

shad-azimabadi

Kisi Ko Kya Khabar Ai Subh Waqt-E-Sham Kya Hoga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet