zahmat kabhi kabhi to mashaqqat kabhi kabhi
lagti hai zindagi bhi musibat kabhi kabhi
pahlu men jagti hai mohabbat kabhi kabhi
aati hai haath dard ki daulat kabhi kabhi
ab tak tire baghair main zinda huun kis tarah
hoti hai apne aap par hairat kabhi kabhi
ik pal ka jo visal tha un mah-o-sal men
deta hai hijr men bhi rifaqat kabhi kabhi
chhede vafa ka giit koi naghma-saz jab
khud se bhi hone lagti hai vahshat kabhi kabhi
ik raat hijr ki hai musalsal hamare saath
tum par guzarti hogi qayamat kabhi kabhi
sulgi hai teri yaad men ye ruuh raat din
dene lagi hai lau ye rifaqat kabhi kabhi
duniya ke vaste jo bahut be-shuur tha
us se mili hai ishq ko vaqat kabhi kabhi
mujh ko tiri jafa ka to shikva nahin magar
aati hai yuun hi lab pe shikayat kabhi kabhi
main dard se najat ki talib nahin magar
‘shahin’ kam ho thodi si shiddat kabhi kabhi
Leave a Reply