mujh men us men hijab tha na raha
pahle jo iztirab tha na raha
kufr hi diin ban gaya mera
kufr men jo hijab tha na raha
lazzat-e-sub.h-o-sham bhuul ga.e
dil jo bhun kar kabab tha na raha
be-haya.i ki oḌh li chadar
pahle vo aab aab tha na raha
is ne ab saath mera chhoḌ diya
ishq men kamyab tha na raha
roz-o-shab chain se guzarte hain
vaqt men pech-o-tab tha na raha
ho ga.e us ke dar ke pahre-dar
mera jiina azaab tha na raha
shaam hote hi bujh gaya ‘ajiz’
ek muflis ka ḳhvab tha na raha
Leave a Reply