• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mujh Bala-Nosh Ko talchhaT Bhi Hai Kafi Saqi

Mujh Bala-Nosh Ko talchhaT Bhi Hai Kafi Saqi

poet

mujh bala-nosh ko talchhaT bhi hai kaafi saaqi

bhar de chullu men jo ho shishe men baaqi saaqi

bhar ke pilvata nahin ek piyali saaqi

saari main mangta huun deta hai aadhi saaqi

tu ne kya atish-e-hal-karda pila di saaqi

bhuun Daala hai jigar aag laga di saaqi

phuul mangun to pilata hai baranDi saaqi

karta hai bazm-e-guzishta ki talafi saaqi

jam-e-jam chahiye rindon ko na shahi saaqi

saltanat hai tire kuche ki gada.i saaqi

jaam auron ko diye mujh ko piyali saaqi

ḳhud bahakne laga manind-e-sharabi saaqi

kya karun pi ke bhala ek piyali saaqi

is tunuk-zarfi ka banda nahin aadi saaqi

kab se kahta huun bala-nosh main saaqi saaqi

aur pilva de jo ho shishe men baaqi saaqi

maraz-e-hijr men mai garche muzir hai lekin

main to pi jaata huun allah hai saaqi saaqi

sub.h se shaam talak haath se chhuTta nahin jaam

chahiye apna taḳhallus kare jaami saaqi

maslahat hogi jo mahrum rakha mai se mujhe

fel hikmat se nahin hai tira ḳhali saaqi

mast kya janen kidhar dair hai ka.aba hai kahan

umr saari tiri bhaTTi men guzari saaqi

masjid o dair o kalisa ki vo raunaq na rahi

tu ne buniyad jo mai-ḳhane ki Daali saaqi

dekhiye sohbat-e-na-jins nibhegi kyun-kar

past-himmat tu tabi.at miri aali saaqi

fasl-e-gul aa chuki kya duur se dahkata hai

mai-e-gul-rang se bhar bhar ke gulabi saaqi

va.izo vohi karunga main jo fatva dega

qibla-o-kaba o murshid mira haadi saaqi

shisha-o-jam o subu honge abhi chaknachur

mast bahke to baḌi hogi ḳharabi saaqi

koi aafat tire mai-ḳhane pe aa sakti hai

sab dua-go hain ye jitne hain sharabi saaqi

sirf lillah bhi mai-ḳhane men jaari kar de

muqtazi ho jo tiri himmat-e-ali saaqi

tang ho kar tire har baar ke dahkane se

kos baiThe na koi rind-e-sharabi saaqi

jo piyega na sharab aaj vo mujrim hoga

ku-ba-ku kal se tu kar de ye munadi saaqi

dard bhi mujh ko pila dega tu bad-masti men

sab suna dunga main divan-e-zulali saaqi

barf pilva ke kaleja mira ThanDa kar de

ab-e-angur ne to aag laga di saaqi

tera ji chahe to pilva de koi jam-e-sharab

haath phailane ka banda nahin aadi saaqi

nafs-e-garm ki tasir ne mai saghar se

sho.ala-e-lafz ke manind uḌa di saaqi

aur to hasraten sab ‘rind’ ke dil se niklin

jam-e-kausar ki tamanna rahi baaqi saaqi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Gham-E-Gunah Se Fikr-E-Najat Se Uljhe

shahryar

Buniyaad-E-Jahan Mein Kaji Kyun Hai

poet

Ja Kahe Ku-E-Yar Mein Koi

Bahe Hain Ashk Na Ubhri Hain Siskiyan Meri

nida-fazli

Ek Chidiya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet