tire jamal se ham runuma nahin hue hain
chamak rahe hain magar aa.ina nahin hue hain
dhaḌak raha hai tu ik ism ki hai ye barakat
vagarna vaqiye is dil men kya nahin hue hain
bata na paa.en to ḳhud tum samajh hi jaao ki ham
bila javaz to be-majra nahin hue hain
tira kamal ki ankhon men kuchh zaban pe kuchh
hamen to mo.ajize aise ata nahin hue hain
ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin
abhi ham ahl-e-junun lab-kusha nahin hue hain
ba-nam-e-zauq-e-suḳhan ḳhud-numa.i aap karen
ham is maraz men abhi mubtala nahin hue hain
hami vo jin ka safar mavara-e-vaqt-o-vajud
hami vo ḳhud se kabhi jo riha nahin hue hain
ḳhud-agahi bhi khaḌi mangti hai apna hisab
junun ke qarz bhi ab tak ada nahin hue hain
kisi ne dil jo dukhaya kabhi to ham ‘irfan’
udaas ho ga.e lekin ḳhafa nahin hue hain
Leave a Reply