muddat hui rahat bhara manzar nahin utra
savan ka mahina miri chhat par nahin utra
raushan raha ik shaḳhs ki yadon se hamesha
girdab men zulmat ke mira ghar nahin utra
jis aankh ne dekha tumhen deti hai gavahi
tum jaisa zamin par koi paikar nahin utra
sachcha.i mire honTon se utri nahin hargiz
jab tak mire kandhon se mira sar nahin utra
qudrat ki ibarat ko paḌhte rahe barson
mafhum magar zehn ke andar nahin utra
nashsha hi kuchh aisa tha futuhat ka us par
jazbat ke tausan se sikandar nahin utra
sahil pe jo utra tha safinon ko jala kar
sadiyon se phir aisa koi lashkar nahin utra
utra nahin nafrat ke samundar men kabhi main
mujh men kabhi nafrat ka samundar nahin utra
koshish to bahut ki thi ‘ḳhumar’ ham ne bhi lekin
shishe men vo ik shoḳh sitamgar nahin utra
Leave a Reply