mo’tabar se rishton ka saeban rahne do
mehrban duaon men khandan rahne do
muzmahil se bam-o-dar khasta-hal divaren
baap ki nishani hai vo makan rahne do
phailte hue shahro apni vahshaten roko
mere ghar ke angan par asman rahne do
aane vaali naslen khud hal talash kar lengi
aaj ke masail ko khush-guman rahne do
uljhe uljhe resham ki dor se bandhe rishte
har ghadi mohabbat ka imtihan rahne do
kya bahut zaruri hai saari baat kah dalen
jugnuon se kuchh lamhe darmiyan rahne do