mohabbaton men hisab hoga ye tai kahan tha
har ek lamha azaab hoga ye tai kahan tha
ye tai hua tha vafa ki sham.a jala karegi
andhera ham pe itaab hoga ye tai kahan tha
ḳhizan na aa.egi zindagi men kabhi hamari
udaas bela gulab hoga ye tai kahan tha
hamari nazren saval ban kar uTha karengi
sukut-e-lab par javab hoga ye tai kahan tha
yaqin dilaya tha saath mil kar raha karoge
ki beach apne chanab hoga ye tai kahan tha
azaab hongi palak jhapakne talak ki duuri
visal apna bhi ḳhvab hoga ye tai kahan tha
ye phuul ban kar mahak uThenge ḳhayal mere
mizaj itna ḳharab hoga ye tai kahan tha
mujhe pukarenge to kahenge ḳhushi milegi
ki naam apna janab hoga ye tai kahan tha
Leave a Reply