mohabbat vo maraz hai jis ka chara ho nahin sakta
jigar ka ho ki dil ka zaḳhm achchha ho nahin sakta
vo naala koi naala hai jo kam ho mauj-e-tufan se
vo aansu koi aansu hai jo dariya ho nahin sakta
tamasha hai ki ham us ko masiha dam samajhte hain
hamare dard ka jis se mudava ho nahin sakta
mujhe fariyad par maa.il na kar ai josh-e-nakami
zamane-bhar men dil ka raaz rusva ho nahin sakta
ajab kya hai jo ḳhamoshi hi sharh-e-arzu kar de
mire lab se to iz.har-e-tamanna ho nahin sakta
mubarak ho tujhi ko ye ḳhayalistan ai vaa.iz
tiri duniya men rindon ka guzara ho nahin sakta
tamasha ho gaya hai tere jalvon ka tamasha.i
koi is shaan se mahv-e-tamasha ho nahin sakta
badal sakte ho tum bigḌi hui qismat zamane ki
tumhari ik nigah-e-naz se kya ho nahin sakta
Leave a Reply