mohabbat be-niyaz-e-ma-siva hai
baḌe jhagḌon pe qaabu pa liya hai
tasavvur fil-haqiqat mo.ajiza hai
kisi ka dil pe saaya paḌ raha hai
ḳhuda hi se na kyuun mangun panahen
ki zehn-e-na-ḳhuda men bhi ḳhuda hai
muhafiz bhi mira majbur nikla
gina karta huun main vo dekhta hai
samajhta hai tujhe apni tajalli
tira partav bhi kitna ḳhud-numa hai
ḳhuda-e-ishq hai vo husn-e-kafir
magar ab tak na samjha ishq kya hai
Leave a Reply