ḳhuda bhi janta hai ḳhuub jo makkar baiThe hain
haram men sar-nigun kuchh qabil-e-finnar baiThe hain
gharon men saath baiThe hain sar-e-bazar baiThe hain
naqab apnon ka oḌhe aj-kal aghyar baiThe hain
mohabbat ki nazar men jiit li hai ham ne vo baazi
zamane ki nazar men ham ki jis ko haar baiThe hain
ḳhata ho jaa.e ham se jo koi to darguzar karna
tumhari bazm men ham aaj pahli baar baiThe hain
zamin se ya falak se ya ki apnon se ki ghairon se
bata.en kis tarah kis kis se ham bezar baiThe hain
yahi jamhuriyat ka naqs hai jo taḳht-e-shahi par
kabhi makkar baiThe hain kabhi ghaddar baiThe hain
adab ki mahfilon men ab kahan jamm-e-ghafir ‘azam’
yahan do-char baiThe hain vahan do-char baiThe hain
Leave a Reply