yuun pareshan kabhi ham bhi to na the
aise is zulf men kham bhi to na the
sair-e-gulshan ko gae the jab aap
yaad to kijiye ham bhi to na the
ham se be-jurm vo kucha chhuta
shaeq-e-bagh-e-iram bhi to na the
rahm karta na falak kya karta
ham saza-var-e-sitam bhi to na the
rahte kaabe men akele kya ham
dil lagane ko sanam bhi to na the
haath kyuun sar pe hamare rakkha
tum se khvahan-e-qasam bhi to na the
Leave a Reply