luTao jaan to banti hai baat kis ne kaha
ye bazm-e-ishq men raz-e-hayat kis ne kaha
rah-e-talab men sunata koi tarana-e-nau
yahan fasana-e-zat-o-sifat kis ne kaha
abhi savabit-o-sayyar men hai fasl bahut
simaT chuki hai bahut kaenat kis ne kaha
har ik choT pe khulti hai aankh insan ki
hain ḳhizr-e-rah-e-talab hadsat kis ne kaha
ham asman ko zamin par utaar laae magar
abhi nahin hai shu.ur-e-hayat kis ne kaha
ham apni dhun men hain masruf kis taraf dekhen
hamen nahin hai gham-e-iltifat kis ne kaha
hamen sukun mayassar nahin magar ‘aḳhtar’
hamare daur ko daur-e-najat kis ne kaha
Leave a Reply